UA-162836014-1
Fsee production is presenting youi new kalam "Ham Jo Pohnche Sar e Maqtal To Ye Manzar Dekha" of Mohsin Naqvi . Mohsin Naqvi is an versatile poet which brings us so many kalam's based of Sufiism and we always brings the best sufi kalam's for our audience on this platform .
										Hum jo pohunche sar-e-maqtal to ye manzar daikha  
Sab se uncha tha jo sar nok-e-sina per daikha  
  
Hum say mat puchh keh kab chaand ubharta hai yahan  
Hum nay suraj bhi teray sheher maian aa ker daikha  
  
Pyaas yaaron ko ab us morr pay lay aai hai  
Rait chamki to yeh samjhay keh samandar daikha  
  
Aisay liptay hain dar-o-baam say ab kay jaisay  
Hadson nay bari muddat main mera ghar daikha  
  
Zindagi bhar na hua khatm qayamat ka azaab  
Hum nay her saans main barpa naya mehshar daikha  
  
Itna bay-his keh pighalta hi na tha baton say  
Aadmi tha keh tarasha hua patthar daikha  
  
Dukh hi aisa tha keh roya tera Mohsin warna  
Gham chhupa ker usay hanstay huay aksar daikha